Popular Posts

Friday, November 5, 2010

MANQABAT hazrat muzaffar ali shah niazi qadri r.a



Ghus-e-azam madade, ya shahe jilan madade
shah-e-shahan madade murshide pakan madade

shah  - e  -  vala  hasabi,  syyade   aali  nasabi
raazdar  -  e  -  azali   kashife  pihaan madade

ghuhar- e-durje safa shamme shabistane huda
madne  lutf - o - ata chashm-e-ahsaan madade

qibla - e - ahle  karam kaaba-e-arbabe homam
sahibe  jood - o - atam  nayibe rehman madade

badshah  -  e  -  do  jahan  qibla - e - ahle  irfan
noore yazda madade mehre darakshan madade

chash-me umeede karam sooye to daram shaha
az  gadaayane  to  aam fazle  numayan  madade

murshido   hadi  -  e  -  "allahi" -  e - mula hasti
lutf   farma - e - soohe  haale  muridan  madade



                                                                                                                                                    (n) silent

Wednesday, November 3, 2010


AYE DIL TUJHE NA AAYA AB BHI QARAR DEKHA
AAJ USNE MUJHKO DEKHA OR BAR BAR DEKHA

UDTI HOI NAZAR KI BEHKI HOI NAZAR KI
FARZANAVAR DEKHA MASTANA VAR DEKHA

PEHLE MUJHE JATA KAR PHERI NIGHAH USNE
PHIR MUAD KE MERI JANIB BE IKHTIYAR DEKHA   

MAUOOS HOKE AKHIR PHERI THI JISSE NAZRE
PHIR MENE AAJ USI KO ANJAAM KAAR DEKHA

HOGA KOI SHAHEED-E-MASTI BHI VARNA HUMNE
ANKHO ME TERI JAB BHI DEKHA KHUMAAR DEKHA

AESE GHAYOOR KA RAAZ AE DOST KAUN JANE 
JISKO KHAMOOSH PAYA AUR ASHK BAAR DEKHA

AB ME HI ME HOO "MAIKASH" VO DIN GAYE KE MENE
KHUD KO KHARAB KAR KE UNKO SAVAAR DEKHA   
                                 

(GHAYOOR=BAHUT KHERAT KARNE WALA)

BOOKS OF HAZRAT MAIKASH AKBARABADI




















NAQD-E-IQBAAL
Posted by Picasa
Posted by Picasa

Friday, October 29, 2010


ये    माना  ज़िन्दगी  में  गम  बहुत हैं
हँसे    भी     ज़िन्दगी  में  हम  बहुत हैं 

तेरी जुल्फों को क्या सुलझाऊ  एय  दोस्त 
मेरी    रहौं   में   पेच     ओ ख़म    बहुत हैं 

नहीं  है मुनहसिर  कुछ फासले   गुल पर
जुनूं       के     और   भी  मौसम  बहुत है 

करो   क्या    शिकवा   तेरी   बे   रुखी का 
के   दिल   को  बे    सबब भी गम  बहुत हैं 

करू  क्या  चारा   इन  आखों  का मैकश  
 के    उनके    सामने      पुरनम    बहुत है 



ye mana zindagi me ghum bahut hain
hanse bhi zindagi me hum bahut hain

teri zulfoon ko kya suljhaoon ye dost
meri rahoon me peach o kham bahut hai

nahi hai munhasir kuch fasle gul per
junoon ke aur bhi muosam bahut hain 

karo  kya  shikwa  teri  be  rokhi  ka
ke dil ko be sabab bhi gham bahut hai

karo kya chara in akhoon ka maikash 
ke unke samne pornam bahut hai 

GHAZAL


PHIR ZARA YAADE KHAME KAKOLE PEANCHA HOJAYE
DIL PARE SHAN HAI TO HASTI BHI PARESHAN HOJAYE

EK BAR AUR TAMASH HO TUMHE MERI KASM 
PHIR TUM AIENA BANU  AIENA HAIRAN HOJAYE

BARHAMI SE KHAME KAKOL KI PARESHAN HAI AAP 
DIL KI KYA FIKR HAI DIL OR PARESHAN HO JAYE

TUM MUSALMAN HO TO  ISLAM HAI IMAAN MERA 
TUM HOO KAFIR TO MUJHE KUFR HI IMAAN HOJAYE

ISHQ KI KOI HAQIQAT JO SAMAJH LE MAIKASH 
TERI MANIND MARIZ-E-GHUME HIJRAN HO JAYE

SALAAM

SALAAM-E-ISHQ TUJHE AYE BAHAR-E-GHUMBINI 
TERE     NISAR      MERE  ASH-E- KHO  KI RANGINI

VO TERA  HALQ-E BORIDAN JAMALE KHUD  DARI
VO TERA SAJDA-E-AKHIR  KAMALE KHUD BEENI

VO TERE  TOTE  HOE BAZOAO KA ROAB-O-JALAL
LARAZ  RAHI  HAI KHADI DOOR FUOZE BE DEENI  

HUSSAIN (A.S) KAISE ZAMANE SE SAAZ KAR SAKTE
KABHI HOI HAI MOHABBAT SE MASLAHAT BEENI

TAMAAM DAULATO SHAHI TAMAAM FOUJO SAPAH
DABA NA SARI KHUDAI SE  ZOUAF MISKEENI

HAIN MOZTARIB  TERE MATAM ME MASHRAQ-O-MAGHRIB
TADRAP RAHE HAI TERE GHUM TURKI-O-CHINI

HAI TERE KHUN  SE KHADO KHALE HUSN ME GARMI
HAI TERE K HUN SE  MOHABBATE KE GHUM ME RANGEENI 

GHULAM USKA HOO MAIKASH KE JAMA HAI JISME
KHUDA O BANDAO KHUD BEENI O KHUDA BEENI

NAAT SHAREEF




MANAM IM SHAB SANA KHUAN-E-MOHAMMAD(S.A.W)
SALAWATULLA      BARJAN   -E -  MOHAMMAD(S.A.W) 

BIGO    HUMDAM  KAY  BAAZ  AAMAD  SHABE  GHAM
HADIS    -E-      ZULFEPECHAN  -E-  MOHAMMAD(S.A.W)

BIDE     SAQI      SHARAB    -E-      SOOZ  -E-         ULFAT
BAHAQQ-E-KAIF -E-CHASHMAN-E-MOHAMMAD(S.A.W) 

SIFAT       CHUON        NEYST        GHER-E-ZAAT YEI DIL
KHUDA   KHUD   HAAST QURAN-E-MOHAMMAD(S.A.W)

SABA      ZEYEN      MAIKASH   -E-   BIMARE       FORQAT
DUA     -E-     GO       BA MASTAN -E- MOHAMMAD(S.A.W)

KALAM


Thursday, October 28, 2010

Ghazal

Kabhi ehle junoon bhi maslahat se kaam lete hai 
tumhe jab yaad karte hai khuda ka naam lete hai,

 vo maste naaz jab dousdeeda nazro se pilata hai
 khudi wale bhi daste be khudi se jam lete hain,

 qayamat damba khud hai gamzae turkana shash dar hai
  khuda se saame vo aaj mera naam lete hain

rahe ulfat me har har gaam pe lagzish hai "maikash" ko
suna ye hai ke vo girte hoao ko thaam lete hai

DARSHAANE SHEIKH


Aye  chara-e-har   mobtala   hazrat  siraj-us-salekeen (r.z)
mushkil kusha moshkil kusha hazrat siraj-us-salekeen(r.z)

hain    jama    zaate  paak   me    jumla    kamalate   uloom
aye  mazhare   zaate  khuda   hazrat  siraj-us-salekeen(r.z)

chaya     hoa     har     aan   vo    al  faqr -fakhri  ka   sama
aye  ayene  taj  ul   auliya   hazrat  siraj - us - salekeen(r.z)

aye  waris -e- ilm - e - nabi (s.a.w)  waqife  raaz -e- ali (a.s)
ibne ali  - e -  murtuza ,    hazrat   siraj  - us - salekeen(r.z)

jo    cheez    ki    jine     talab  baqshi  vo  usko  be    sebab
abre karam  kane  sakha  hazrat  siraj - us - salekeen(r.z) 

aye ayene haq eyene  nabi(s.a.w)ayene  ali -e- murtuza(a.s)
suniye  meri  fariyad  yaa  hazrat   siraj - us - salekeen(r.z) 


"JANASHENE GHUS O KHAWAJA"

HAR MUSALMAAN K LIYE ZARORI HAI KE ALLAH KI WAHDANIYAT KA IS TARHAN YAQEEN KARE K TAMAMTAR TAQATO OR HAR TARHA KI BUZORGI KA HAMIL,ALLAH HI HAI VO HAR CHEEZ KA AHAATA KIYE HOYE HAI HAMARA MAQSOOD SIRF OR SIRF ALLAH HI KI ZAAT BA BARKAAT HAI,SARVARE KAIYNAT QOULASA-E- MOJODAD,AHMEDE MUTUBA MOHAMMAD MUSTUFA SALLALLAHO ALEHE VASALLA, MAQSODE VOJODE KAIYENAAT HAI,ALLAH NE AAP PER APNE GHEBI O GHER GHEBI INM KE NA SIRF KHZANE KHOL DIYE HAI BALKE OSE BATNE KA SHARF BHI ATA KAR DIYA HAI,OR AAN HAZRAT S.A.W NE AAPNE AS HAAB KO MOKHTALIF QISM KE OLOM ME AAPNA JANASHEEN BANAYA,JIME ASAD ULLAH GHALIB BATKOB KOLLE  TALIB TAJDARE TARIQAT SHEH SAVARE SHAREEYAT HAZRAT ALI KARMALLAHVAJO,VA ALEHISSALAM KO TARIQAT OR MAREFAT KI JANASHEENI ATA HOI,HOOZOR KA FARMAAN HAI "MEIN ILM KA SHEHER HO ALI USKA DARVAZA HAI" KI KI TAFSEER SE AP SAB BAKHUBEE WAQIF HAI,HZRAT MOULA SE YE GHER MAMOLI ILM JARI HOA (JISME MAZHAB KI KOI QAED NAHI HAI SATH HI MAZHABE ISLAM KA ASAL OR ROOHANI PEHLOO BHI YAHI HAI) OR HAZRAT MAULA SE AAPKE DONO SHEZADO A.S K ALAVA HAZRAT HASAN BASRI(R.A) OR HAZRAT KAMEEL (R.A) KO KHILAFTE KHAS ATA HOI JO EK TARAF 8 IMAMEN (A.S)  SE HOTI HOI HAZRAT MAROOF KARQI (R.Z).................HAZRAT JUNAID  BAGDADI(R.Z) SE HATO HAZRAT ABO SAEED MUBARAK IBNE ALI IBNE HUSSIAN(R.Z) SE  QUTBE RABBANI MEHBOOBE SUBHANI,GHUSE SAMDANI, SARDAR JUMLA AULIYA IKRAM HAZRAT SYED SHEIKH ABU MOHAMMAD ABDUL QADIR GILANI  HASANI O HUSSAINI (R.Z) TAK POHCHA,DUSRI TARAF HAZRAT HASSAN BASRI(R.Z) SE HAZRAT  FUZEAL BIN AYAZ(R.Z) SE HOTI OI HAZRAT USMANE HAROONI CHISHTI(R.Z) SE HAZRAT KHAWAJAE KHAWAJGAN KHAWAJA MOIN UDDIN HASSAN SANJARI TAK PUHCHI YEI HAZRAT HAI JO AANHAZRAT KE JANASHEEN HAI ROZE AZAL SE QIYAMAT TAK KOI BHI WALI WALI NAHI HO SAKTA    JABTAK KI GHUS PAAK KO APNA MOULA NA MANE OR YEI TASLEEM NA KARE K AAP KI QADAM MUBARAK USKE KANDHOON PER HAI,AAP KE FAIZ SE  TAMMAM TAR SALASIL ROSHNAAZ HAI,HINTUSTAN KI SIPE SALARI HAZRATE KHAWAJA HINDUL WALI KO MILI HAI JO BHI BOZURG HINDUSTAN AYE WO SAB APKE HI PEROKAR OR SIPAHI HAI QUTBE ALAM MADARE AZAM  HAZRAT SHAH MOHAMMAD NITAZ AHMED QADRI CHISHTI SUHAVADI NAQSHBANDI (QADIMA) KO QADRI SILSILE ME MOHI UDDIN SANI SHAH SYED SHEIKH ABDULLAH BAGHDADI (R.Z) SE YAHI JANASHEENI ATA HOI HAZRAT KA QOUL HAI JO APNE HZRT NIYAZ BE NIYAZ SE FARMAYA "ME HINDUSTAN SIRF DO VAJHO SE AYA HOO EK TUMHE AAPNE JAD KA QIRKA-E-KHAS ATA KARO OR DUSRA APNI BETI KA NIKH TUMSE KARON" SE VO AEJAAZ HAI JIS KI MISAAL DOOR DOOR TAK DEKHNE KO NAHI MILTI NA SIRF KHANDANE NIAZI K LIYE BALKE TAMMAM MULK K LIYE BAISE FAKHER HAI,VAHIN CHISHTIYA SILSILE ME FAKHRE PAAK HAZRAT FAKHAR UDDIN ASHIQE RASOOL O ALE RASOOL (R.Z) AAP TAK KHAWAJA SAHAB  
KI JANASHEENI MUNTAQIL HOI OR AAP SE HAZRAT NIYAZBE NIYAZ R.Z KO ALGHARAZ DO AZEEM USH SHAAN SALASIL KI KILAFTE KHAS ATA HOI SATH HI KOL 11 SALASIL BHI IS SISILE ME JODE HAI,AAj NIYAZ BE NIYAZ K KAMALAT SE SARI DUNIYA VAQIF HAI yei Khanqa  ILME TASAWWUF KI WO DARSGA HAI JAHAN JISE HINTUSTAN HI NAHI SARI DUNIA FAIZYAB HOTI AI HAI YEI JO BARGAH HAI JAHAN AAJ BHI  LOG MARFAT KI RAH ME BULANDI HASIL KARNE DOR DOR SE PUHCHTE HAI,MAKKE (SHREEF) MADINE(SHREEF) SE K KAR AKGHANISTAN RUSSIA, EUROPE,WAGHERA SE HAQ KI TAKASH ME  ATE HAI,IMAM UL MUHIBBEEN HAZRAT QIBLA SHAH SHAH MOHAMMAD HASSIAN URF HASNI MIAN SAHAB NIAZI NIZAMI CHISHTI QADRI  (SALLOMAHO)  QUTBE ALAM MADARE AZAM  HZRAT NIYAZ BE NIYAZ (R.Z) K 6 CHE VASTON SE JANASHEEN HAI AAP KI IS AZEEM USH SHAN SHAQSEEYAT K BAIS AAJ BHI KHANQA –E-NIAZIA ME TAMAAMTAR RIVAYAT OR KAMALAT MUJOOD HAI,JO DOSRI BADI KHANQAHO ME NA PEYD HAI   


KUDA SHANAAS HAIN AALAM PANAH SHAH-E-NIYAZ(R.Z)
FALAK ASAAS HAIN AALAM PANAH SHAH-E-NIYAZ(R.Z) 

UNHI KI SIMT NIGHAHE HAI KOL ZAMANE KI
SBHO KI AAS HAIN AALAM PANAH SHAH-E-NIYAZ(R.Z)  

NAZAR POHUCH NAHI SAKTI HAI UNKI RIFAT TAK                     
KE BE QEYAAS HAIN AALAM PANAH SHAH-E-NIYAZ(R.Z)

  
IUHI K DARPE TO BATTI HAI MARMAT KI SHARAB,
 K HAQ SHANAAS HAIN AALAM PANA SHAHE NIYAZ(R.Z)

MEIN "RAAZ" SHANE SIRAJI KA AENE MAZHAR HOO
KE MERE PASS HAIN AALAM PANA SHAHE NIYAZ ”(R.Z)      


 -KALAAM HAZRAT  RAAZ BARELLVI IMAM US SALEKEEN SHAH MOHAMMAD TAQI (R.Z)     
                                                                                                         


F. A .SHAH NIAZI

BARGAH-E-SYYADUSH SHUHADA ME

                                                


                        


Hussian(a.s)  shane  kamale  mohammade (s.a.w)   arabi, 
nabi (s.a.w)   jamal - e-  ilahi  hai  vo  jamale   nabi,(s.a.w)



Hussian(a.s) jalva-e-mutlaq hussain(a.s) arsh maqaam

hussain(a.s)  roohe  ilahi  hussain(a.s)  sirre  nabi(s.a.w)

sabhi       ne      dekh    liya   gherate   musalma  ko

jahan     me khol gai  shane mohammade(s.a.w) arbi

qatile    khan    jare    laa   he   fanaae   zaat   hai tu
tere      huzoor       me     hasti  ka  hoosh  be  adabi


kisi        shaqi     ki     ahanat    se   kya  hoa   maikash
ke bosa ghaah nabi(s.a.w)  ki hai bosa ghahe nabi(s.a.w) 

Wednesday, October 27, 2010

GHAZAL

कभी  एहले जुनूँ भी मसलहत से काम लेते है 
तुम्हे जब याद करते है  खुदा का नाम लेते है

वो मस्ते नाज़ जब दुज्दीदा नजरो से पिलाता है       
खुदी वाले भी दस्ते बे खुदी से जाम लेते है

क़यामत दम बा खुद है गम जाए तुरकाना शशदर है
खुदा के सामने वो आज मेरा नाम लेते है

रहे उल्फत में हर हर गाम पे  लग्ज़ेश है मैकश को
 सुना  ये है के वो गिरते हो ओं को थाम लेते हैं               
 

yei jaha ek nazar



naat shreef


Saturday, October 16, 2010

Hussian shane kamale mohammade arabi, 
nabi jamal-e- ilahi hai vo jamale nabi,


hussian jalva-e-mutlaq hussain arsh maqaam
hussain roohe ilahi hussain sirre nabi


qatile khan jare laa he fanaae zaat hai tu
tere huzoor me hasti ka hoosh be adabi


kisi shaqi ki ahanat se kya hoa maikash
ke bosa ghaah nabi ki hai bosa ghahe nabi

manqabat


TASANEEEF

  • LUGHAT(NAZEER AKBERABADI K ISTIMAAL KARDA ALFAAZ)
  • MUKHTALIF RISALO ME SHAYA SHUDA MAZAMEEN
  • AGRA AUR AGRAWALE
  • FARZAND-E-GHUS UL AZAM
  • TAUHEED AUR SHIRK (NASR)
  • MASAIL-E-TASAWWUF(NASR)
  • NAGHMA AUR ISLAM (NASR)
  • NAQD-E-IQBAL(NASR)
  • DASTAN-E-SHAB(SHERIMAJMOA)
  • HARFE TAMANNA (SHERIMAJMOA)
  • MAIKADA(SHERIMAJMOA)