Popular Posts

Friday, November 5, 2010

MANQABAT hazrat muzaffar ali shah niazi qadri r.a



Ghus-e-azam madade, ya shahe jilan madade
shah-e-shahan madade murshide pakan madade

shah  - e  -  vala  hasabi,  syyade   aali  nasabi
raazdar  -  e  -  azali   kashife  pihaan madade

ghuhar- e-durje safa shamme shabistane huda
madne  lutf - o - ata chashm-e-ahsaan madade

qibla - e - ahle  karam kaaba-e-arbabe homam
sahibe  jood - o - atam  nayibe rehman madade

badshah  -  e  -  do  jahan  qibla - e - ahle  irfan
noore yazda madade mehre darakshan madade

chash-me umeede karam sooye to daram shaha
az  gadaayane  to  aam fazle  numayan  madade

murshido   hadi  -  e  -  "allahi" -  e - mula hasti
lutf   farma - e - soohe  haale  muridan  madade



                                                                                                                                                    (n) silent

Wednesday, November 3, 2010


AYE DIL TUJHE NA AAYA AB BHI QARAR DEKHA
AAJ USNE MUJHKO DEKHA OR BAR BAR DEKHA

UDTI HOI NAZAR KI BEHKI HOI NAZAR KI
FARZANAVAR DEKHA MASTANA VAR DEKHA

PEHLE MUJHE JATA KAR PHERI NIGHAH USNE
PHIR MUAD KE MERI JANIB BE IKHTIYAR DEKHA   

MAUOOS HOKE AKHIR PHERI THI JISSE NAZRE
PHIR MENE AAJ USI KO ANJAAM KAAR DEKHA

HOGA KOI SHAHEED-E-MASTI BHI VARNA HUMNE
ANKHO ME TERI JAB BHI DEKHA KHUMAAR DEKHA

AESE GHAYOOR KA RAAZ AE DOST KAUN JANE 
JISKO KHAMOOSH PAYA AUR ASHK BAAR DEKHA

AB ME HI ME HOO "MAIKASH" VO DIN GAYE KE MENE
KHUD KO KHARAB KAR KE UNKO SAVAAR DEKHA   
                                 

(GHAYOOR=BAHUT KHERAT KARNE WALA)

BOOKS OF HAZRAT MAIKASH AKBARABADI




















NAQD-E-IQBAAL
Posted by Picasa
Posted by Picasa

TASANEEEF

  • LUGHAT(NAZEER AKBERABADI K ISTIMAAL KARDA ALFAAZ)
  • MUKHTALIF RISALO ME SHAYA SHUDA MAZAMEEN
  • AGRA AUR AGRAWALE
  • FARZAND-E-GHUS UL AZAM
  • TAUHEED AUR SHIRK (NASR)
  • MASAIL-E-TASAWWUF(NASR)
  • NAGHMA AUR ISLAM (NASR)
  • NAQD-E-IQBAL(NASR)
  • DASTAN-E-SHAB(SHERIMAJMOA)
  • HARFE TAMANNA (SHERIMAJMOA)
  • MAIKADA(SHERIMAJMOA)